Sunday, 21 December 2014

"Ghumakkad Dil"

Aarzu si simat ke reh gayi thi dil mein
ki pakshi si udaan bharun
cheerta hua badlon ko
uss chamakte suraj ko thaam lun.

Duub jaaun samudra mein
ek nai duniya ka ehsaas karun
kabhi rang birangi machliyon ko dekhun
toh kabhi unse khilwad karun.

Registan ki pyasi dharti par,
pani ke bhram ka main bhi anubhav karun
aur raat ki thithurti thand mein
rait(sand) ki mulayam chaadar audhun.

Varshvan ki chipchipi vayu
aur mehekte nazzaron ka main bhi swaad chkhun
bol Insaan teri sarhadon ka,
MAIN KYA DAAM DUN, KYA DAAM DUN!!!!!!

अंकित गोयल

No comments:

Post a Comment